Tujhe chahne ko sochta hun main waqt saara,
Guzar jaane ke baad din sochta hun jhootha main saara
Bhaagta hun kabhi khud se kabhi khud ke khayalon se,
Kya kar raha hun main laane ko jawaab tere sawalon ke
Din mahine guzare jaa rahe hain saal,
Kya meri khaami hi hai zimmedaar tere haal
Jab paata hun khud ko tujhe khush karne mein nakamyab,
Sochta hun main haara par jeeta kaun iss hisaab
Badlenge mausam aur zamaane,
Na jaane kitne aur thokar hai tune aur maine khaane
Tu hansta hai toh lagta hai sab ho jaayega theek,
Thode khushi toh bhagwaan bhi de dega bheek
Kal uthunga fir aur ladunga ek aur baar,
Tu bas kariyo vishvaas, himmat mujhpe na jaaiyo haar